Powered By Blogger

Dil ki juban


Dil bharta nahi,palak girti nahi,dhadkan chalti nahi jab wo aa jate hai samne,
Dosti hai ya dillagi kuchh samajh me aata nahi jab wo aa jate hai samne,
Uski muskan me kuchh to baat hai aesi jo meri aankho me bas jati hai,
Unke didar ko tarsti hai aankhe par palak uthti nahi jab wo aa jate hai samne,
Nigahe chura nahi sakte unse quki didar ke bina hum reh bhi nahi sakte,
Is ehsas ko pyar ka naam dunga nahi quki badnami unki hum seh nahi sakte,
Usme hai kuchh to kasis par labjo me kuchh keh nahi sakte,
Baat kuchh ankahi si uski aankhe bol jati hai,
Muskurake dil wo mera chura le jati hai,
Use khus dekhna ab adat bana li hai,
Dukh usko na ho ye duwa maine rab se ki hai,
Pighlega wo khuda bhi jab arziya meri uske dar pe pahuchegi,
Hoga asar uski duwaon ka jab dil ki baat dil tak pahuchegi..!!
Aankho me basa ke rakha hai us hasin chehre ko,
Nazuk si aadaye aur thodi bachkani shararto ko,
hai kuchh baat usme jo bha jati hai mere dil ko..!!
 Tareef me kahu to kya kahu labj milte nahi jab wo aa jate hai samne..!!
khuda na kare ki ye silsila na tute mulakato ka,
quki zindagi sawar si jati hai jab wo aa jate hai samne..,
keh kar kuchh bayan hum karte nahi,
aankho ki juban wo samjhte nahi,
par hai bharosha  ki dil ki baat dil ko samjh aayegi,
aur is nacheez ki kismet bhi khul jayegi..!
Dukh kitna bhi ho dil me chehra khil sa jata hai jab wo aa jate hai samne.!!

Penulis : Kaushal ~ Sebuah blog yang menyediakan berbagai macam informasi

Artikel Dil ki juban ini dipublish oleh Kaushal pada hari Tuesday 22 November 2011. Semoga artikel ini dapat bermanfaat.Terimakasih atas kunjungan Anda silahkan tinggalkan komentar.sudah ada 1comments: di postingan Dil ki juban
 

1 comments: