Powered By Blogger

Tell me o khuda.!!



1.)   Mere rabba mujhe itna samjha de,
Mai rahun yanha ya mar jau itna bata de!!
Mar mitne ko socha tha yari me maine,
Dhoke khaye aur dard utha ab dil me mere!!
Najuk sa dil dard seh pata nahi hai,
Rona chahte  nahi par aansu aankho me bhar aate hai..!!
Mer rabba mujhe itna samjha de,
Mai rahun yanha ya mar jau itna bata de…!!
2.)   Zindagi me bhi kuchh kar paya nhi,
Bas dard se badh kar kuchh paya nhi..!!
Zindagi suru karne ki kosis ki hai hazar,
Lekin is dard ke aage sab bekar.!!
Main dara nhi kabhi maut ke tufan se,
Bas ruh kanp jati hai unke ik inkar se..!!
Mere rabba mujhe itna samjha de,
Mai rahun yanha ya mar jau itna bata de…..!!
3.) Bhagti zindagi kabhi pakad aati nhi,
Baat to mere dil ki hai par samajh me aati nhi..!!
Is zindagi se sikwa karna hai yanha bekar,
Iske siwa kuchh aur sujhta nhi itne hue hain lachar..!!
Har subah uthkar bhi lagta hai soye hue hain,
Kuchh keh pate nhi hum sabdo me isliye syahi se sabd firoy hue hain.!!
Mere rabba mujhe itna samjha de,
Mai rahun yanha ya mar jau itna bata de..!!
4.) kabhi sadgi kisi ko pasand aayi nhi,
Hum hai ki khud ko badal paye nhi..!!
Bahut kuchh kehna chahte the unse, par kuchh kehne ka haq nahi,
Dil hai ki rona chahe, par aansu bahane ka haq nhi..!!
Rone se taqdir yanha badalti nhi,
Aur hum hain ki hans kar bhi hanste nhi..!!
Mere rabba mujhe itna samjha de,
Mai rahun yanha ya mar jau itna bata de….!!!
5.) Dusro ki pareshani lagti thi kam,
Lekin ab samajh me aata hai unka bhi gam..!!
Dilaya ehsas kuchh logon ne ki kamjor tha main,
Bas isliye aaj kuchh aur hi hoon main..!!
Ik chah bachi hai abhi bhi is dil me,
Hamara ho koi aur hum bhi ho kisi ke..!!
Jo uff tak na nikalne de dil se mere,
Hume aise dost ki talash hamesha rahegi..!!
Kalam se nasha karna to aata nhi hume,
Par sabdo me koi sunta, aisa bhi koi mila nahi hume..!!
Mere rabba mujhe itna samjha de,
Mai rahun yanha ya mar jau itna bata de..!!!

Penulis : Kaushal ~ Sebuah blog yang menyediakan berbagai macam informasi

Artikel Tell me o khuda.!! ini dipublish oleh Kaushal pada hari Thursday 24 November 2011. Semoga artikel ini dapat bermanfaat.Terimakasih atas kunjungan Anda silahkan tinggalkan komentar.sudah ada 0 komentar: di postingan Tell me o khuda.!!
 

0 comments:

Post a Comment