Powered By Blogger

"Dub na jana"



Is chhote se safar me chalna sambhal ke,
Rasta kathin hai phr bhi sabar kar le,
Agar hoti khata hai to dar na saja se,
Marna yanha pe sabko pada hai phir kyun dagmagana,
Ugta suraj bhi dubta jarur hai phir kyun ghabrana,
Dub na jana, dub na jana, khud ko bachana..!!

Lad le tu din se phir honi raat haseen hai,
Umeedo ka chiraag yun na bujhana,
Duniya ke bheed me chalna jarur hai,
Reh ke akele tu samay na gawana,
Kitni bhi ho sikayte, koi sunne ko na pass ho,
Na  ro jana tum na ro jana,
Dub na jana, dub na jana, khud ko bachana..!!

Gir ke uthega tu, manjilo ko chhuega tu,
Din me badlegi ye raate,,
Dhalta suraj majboor hai par umeed hi ek dor hai,
Na chhod dena, na tod dena,
In suni suni raato me hi milega kinara,
Na bhul jana, na palke bhigana,
Dub na jana, dub na jana, khud ko bachana..!!

Penulis : Kaushal ~ Sebuah blog yang menyediakan berbagai macam informasi

Artikel "Dub na jana" ini dipublish oleh Kaushal pada hari Friday 30 March 2012. Semoga artikel ini dapat bermanfaat.Terimakasih atas kunjungan Anda silahkan tinggalkan komentar.sudah ada 0 komentar: di postingan "Dub na jana"
 

0 comments:

Post a Comment