Powered By Blogger

Natkhat anjani"


Jab bhi palko ke samne hoti ho tum,
Nazaro se kuchh baat keh jaati ho tum,
Ek tuk dekh lo mujhe sheesha samjh kar,
Verna todna to har kisiko aata hai kaanch samjh kar.,
Jab dekhta hoon yun pass se tumhe main,
Ek vishwas ki saansh leta hoon main.!!!

Kaha tak chalunga yun tanha akela,
Ye duniya mujhe ab lagti hai mela,
Jameen banker na bana dena aashman mujhko,
Dil me nahi to kangan me basa lena mujhko.,
Tere mann ki baato ko chura to loo main,
Bin bole hi sab kuchh guguna to du main,
Par tere lafjo ki jannat kaise kho du main,
Jab dekhta hoon yun pass se tumhe main,
Ek vishwas ki saansh leta hoon main.!!!

Gusse me bhi lagti hai wo gulab,
Kaante to hai par hai pyaar ka paigaam,
Sabdo me basti hai wo yaadien banker,
Kalam ki syaahi to kabhi aahen banker,
Natkhat hai, pyaari hai, gudiya rani hai,
Sab se alag wo anjani hai,
Ab kya likhun sabdo ki kahani main,
Saansho me lipti wo anjaani hai,
Jab dekhta hoon yun pass se tumhe main,
Ek vishwas ki saansh leta hoon main.!!!

Penulis : Kaushal ~ Sebuah blog yang menyediakan berbagai macam informasi

Artikel Natkhat anjani" ini dipublish oleh Kaushal pada hari Wednesday 21 March 2012. Semoga artikel ini dapat bermanfaat.Terimakasih atas kunjungan Anda silahkan tinggalkan komentar.sudah ada 0 komentar: di postingan Natkhat anjani"
 

0 comments:

Post a Comment