Powered By Blogger

''Zindagi''


Har din har raat sochta rha,
Kya naam du tumhe aye mere dosto,
Rasta kanhu to badal jayega,
Daman kanhu to chhut jayega,
Talaash thi kuchh aise naam ki,
Jo hamesha dil ke paas aur sanso me bas jaye,
Mere dosto tum sabhi ho anmol meri sanso ki tarah,
Par talaash thi kuchh aise naam ki jo paas rahe meri sanso ki tarah..!!
Dil kanhu to tut jayega,
Mann bolu to ruth jayega,
Sapna bolu to bhul jayega,
Chhote se dimaag ka istemaal to kiya,
Mandbudhi hu par kuchh kaam to kiya,
Internet par jakar search bhi kiya,
Kitabe bhi padhi par kuchh na mila..!!
Koi naam ne dil ko nahi chhua,
Dil me bas ek sabd tha,
Mann ko bhi bahut pasand tha.!
Rakh diya naam maine ‘zindagi’ tumhara,
Kam se kam maut tak to sath nibhayega.!!
Zindagi par bhi hai kuchh bharosha nahi,
Pal me sab chhin le mujhse aur akela na kar de tumhe kanhi,
Galtiyo ko bhula dena mere, maaf kar riha karna is bandhan se mujhe.!!
Dua karna apne bhagwan se, tadpay na mere ruh ko saitan ki tarah,
Yaad tumhari ruh ke sath le jaunga, ho saka to laut kar wapas jarur aaunga..!! J

Penulis : Kaushal ~ Sebuah blog yang menyediakan berbagai macam informasi

Artikel ''Zindagi'' ini dipublish oleh Kaushal pada hari Saturday 3 December 2011. Semoga artikel ini dapat bermanfaat.Terimakasih atas kunjungan Anda silahkan tinggalkan komentar.sudah ada 0 komentar: di postingan ''Zindagi''
 

0 comments:

Post a Comment