Powered By Blogger

"Maa"


Pehla chehra jo dil me basa tha,
Aankho me chhap sa gya tha,
Usi chehre ne roshni di in aankho ko,
Usi ne diya dil me paayar aur jine ki tamanna bhi,
Itna pyar kisi aur se na milega kabhi,
Itna to yakin hai mere dil ko bhi,
Pehla sabd jo dil se nikal kar labj bana tha,
Usi ka chehra aankho me bas gya tha.!!
Wo sabd bas do labj ka hi tha.,
Par matlab uska bayan na kar paunga mai.
‘Maa’ ka chehra aur pyaar bhula na punga mai.
‘Maa’ hi do sabd hai jo bina padhe samjh jaunga mai.,
Ik uff par wo jaan chhidakti hai
Had se bhi jyada pyaar karti hai..!!
Pta nahi kuchh kar paunga mai,
Is mamta ka mol chukka paunga mai,
Anmol hai pyar Maa ka pta hai mujhko,
kuchh farz hai mere,kya nibha paunga mai,
Bhagwan ka roop ya avtar nahi kehta mai,
Quki bhagwan ko dekh pata nahi mai,
Maa ki surat jaisi hi bhagwan ki surat hogi,
Dil me basi ye surat hi bhagwan ki murat hogi..!!
Anant janm lekar bhi karz na chukka paunga mai,
Par is janm me maa ki muskurahat ke liye mar bhi jaunga mai,
Mujhse kabhi dukh na pahuche unhe,
Yahi rehmat barshaye mera khuda mujhpe..!!

Penulis : Kaushal ~ Sebuah blog yang menyediakan berbagai macam informasi

Artikel "Maa" ini dipublish oleh Kaushal pada hari Thursday 8 December 2011. Semoga artikel ini dapat bermanfaat.Terimakasih atas kunjungan Anda silahkan tinggalkan komentar.sudah ada 0 komentar: di postingan "Maa"
 

0 comments:

Post a Comment