Yun nazare
mili aur kuchh vishwas unki aankho me dikh gaya,
Kya tha
kyun tha samajhna zara muskil ho gaya,
kehna
tha shayad kuchh us nainpari ko mujhse,
par
anjan banne ka natak humne khud hi kar diya,
do
pal aur do lafjo ki kahani thi,
jo
usko shayad gungunani thi,
ek
muskaan uski yaad hai jo mere milne par hi aati thi,
keh
kar bhi sab kuchh kehna tha, par nazare jhukne si lagi thi,
darr
rahi thi shayad wo nazare, phir bhi jhalak rahi unme khushiya thi,
yun
to raah rok rahi thi unki nazare, par zindagi ne kaha kiska saath diya,
raahe
chubh rahi thi kante banker phir bhi aage badhna hi pada,
unki
aankho se aanshu girte hume dekhna hi pada,
ab
to tanhai hi mehsush hoti hai, is sehar ke bheed me bhi,
yun
nazare milata hi hai kyun khuda jab tanhai hi naseeb me thi,
arso
ab guzarenge unki muskurahat ke bina,
salamat
rakhna un viswash bhari aankho ko aye mere khuda,
kabool
kar le ye ek chhoti si mannat,
aur kismat
me hamare ek mulakat zaroor likhna.!!
0 comments:
Post a Comment