Kisi
ke door hone se, qu dil ye rota hai,
Kisi
ke pass hone par, qu na ye dhayan deta hai,
Aksar
beete kal yaad aate hain, jab wo door jaate hai,
Jab wo
pass hote hain, ik nayi yaad banate hai.!!
Na
chah kar bhi chahte hai unko is kadar,
Ki door
jaate hi unke jaise toot jate ho pathar.!
Sahe
to sahe kaise dard ko, dil bhatakta dar-badar,
Kehna
bhi mushkil aur sunna bhi mushkil ye hai kaisa pehar.!!
Is guzarte
pal me na koi kisi ko yaad karta hai,
Is baat
ka ehsaash bhi kisi ke marne ke baad hota hai..!
Aree
marne ki baat to door ki hai,
Yanha
zindagi hai phr bhi nahi kisi ki yaado me hai.!!
Kisiko
chand mante the, par unhe taare jyada achhe nazar aaye,
Par unhe
ab hum kaise samjhaye, ki taare bhi unhi ke ujaale se hai,
Chhod
diya jab chand kehna, to ab andhera hi reh-guzar me nazar aaye,
Par kya
kare suraj ki aadat hi nahi, warna ik naye din ki tarah ik chand aur bana
lete.!!
Pal gungunata
raha, raat gaati rahi,
Pass
sabhi muskurate rahe, sur guzarti raat se milate rahe,
Hum bhi
muskurate rahe, par aankhe churate rahe,
Kaise
batate ki jo door hai, wo hi hume satate rahe.!!
Har taare
ki ek apni kahani hai,
chup
reh kar bhi chamakte rehna pyar ki nishani hai,
Zakham
na koi dikhta par ik ehsaash hai,
lagta
hai na-chahne par bhi ik dil ka tukda unke pass hai..!!
Naraz
hone se pehle uska sabab puchh to liya karo,
Bheed
me rehte ho par ik baar yaad to kar liya karo,
Na rakho
har pal ki khabar is sambhalte dil ki,
Dhadak
raha hai ya nahi itna to puchh liya karo.!!!
Jab bhi
teri doorie ka ehsaash satane laga,
Guzara
hua lamha flashback ki tarah aankho me aane laga,
Jab sab
kuchh bhulane ki kossis ki maine,
Na jaane
qu tu yaad banker aur satane laga.!!
0 comments:
Post a Comment