Ye barish ki bunde aur usme chhipa chehra anjana,
Anjana chehra bhi qu mujhe laga pehchana.,
Pehli mulakat thi, nahi tha koi sath purana,
Phir bhi lag rha tha ,sadiyon ka rista purana.!!
Dil me ek tasvir uski utar si gayi hai,
Nazaro me mere wo bas si gayi hai,
Gaur se dekh rha tha uski harkato ko,
Khilkhilati si hansi aur dil machlane wali bachkani harkato ko.!!
Rha na gya mujhse, pahuch gya mai pass uske,
Usne palke uthai phir muskurai aur dil me bana li jagah usne,
Ek dusre ke nazaro me kho se gaye hum,
Na maine kuchh kaha na unhone kuchh bola,
Barish ki boonde kar rhi thi aankho ko band
Par bhi dono ki aankhe nahi hui nam.!!
Achanak barish ke boondo ne apna silsila toda,
Humne dosti ki aur dono ne apna parichay bola.!
Kuchh bate hui par dil ko chubhne si lagi,
Quki unka thikana tha bas ek do din ka yanha,
Phir se dil ne mehsoos kiya tanha begana yanha.!
Gam hum dono ko tha bichhad jane ka,
Kash ho pata hume ek didar us chehre ka,
Ye bearish bhi kya chiz hai, yadon ka hai ghar apna,
Iski boonde le aati hai un yadon ko, samet ke jaise ek sapna.!
In barish ki boondo se ban gya hai rista apna,
Kabhi inke barashne ka silsila toot jata hai,
to kabhi dil se yaadein rooth jaya karti hai..!!
speechless..........
ReplyDelete