Milke tujhse
ye nazre teri ho gayi,
Sine ka
khilauna aur uske sapne bhi tere ho chale,
Maine to
khoya hai kuchh ye ehsaash mujhko hai,
Tujhe bhi ik
ehsaash hota kuchh paane ka, ye khayal dil me hai,
Ye kasme-wade
aur hansi sab teri thi,
Khud bichhad
kar tanhaiyo se milane ka khayal bhi tera tha,
Kar li dosti
tanhaiyo se par ab bhi ik sawal mann me rehta hai,
Kismat to
achhi teri thi hi kya khuda bhi tera tha?
Raste me
hoon, manzil bhi door nazar aati hai,
Koi zinda
hone ka ehsaash dila jaye, wahi raaz nazar na aata hai,
Teri muskurahat
jo dikh rahi hai usme kuchh to mera bhi haq hai,
Par tu kya
haq dega jab khuda ne khud ye haq chhina hai
Aansu khoon
ke nikale hai, dariya ander ka khali hone ko hai,
Ye kehar jo
tu dha gaya hai, na jaane kaha pahuchayega mujhe,
Rab se to
rista tuta hai tujhse bhi bandhan tod diya hai,
Manzil bhi
milegi is diljale mehmaan ko, bas in saansho se tu tadap ke nikal jaaye…!
Picture abhi baaki hai mere dost…..!!
0 comments:
Post a Comment