Is chhote
se safar me chalna sambhal ke,
Rasta kathin
hai phr bhi sabar kar le,
Agar hoti
khata hai to dar na saja se,
Marna yanha
pe sabko pada hai phir kyun dagmagana,
Ugta suraj
bhi dubta jarur hai phir kyun ghabrana,
Dub na
jana, dub na jana, khud ko bachana..!!
Lad le tu
din se phir honi raat haseen hai,
Umeedo ka
chiraag yun na bujhana,
Duniya ke
bheed me chalna jarur hai,
Reh ke akele
tu samay na gawana,
Kitni bhi
ho sikayte, koi sunne ko na pass ho,
Na ro jana tum na ro jana,
Dub na
jana, dub na jana, khud ko bachana..!!
Gir ke
uthega tu, manjilo ko chhuega tu,
Din me
badlegi ye raate,,
Dhalta suraj
majboor hai par umeed hi ek dor hai,
Na chhod
dena, na tod dena,
In suni
suni raato me hi milega kinara,
Na bhul
jana, na palke bhigana,
Dub na
jana, dub na jana, khud ko bachana..!!
0 comments:
Post a Comment