Powered By Blogger

"Pari - Meri dost"


Dil ko tanhai manjoor nahi hoti,
Dosti me judai kabool nahi hoti.
Zindagi ne kar diya tha juda hamko,
Kar diya yanha tanha mujhko,
Par mere pagalpan me kuchh to baat thi,
Suni mere dil ki aur bhej di ek khubsurat masoom pari,
Us rab ka sukariya jisne meri suni,
Bhej di mere sath ke liye chun kar ek pari,
Baate uski sahad se mithi,
Chehra uska chaand sa pyara,
Dil me pyar sagar jitna,
Aankho me rab basta uske,
Shukariya khuda ka is dosti ke liye,
Dosti hamari ab rab se pyari hai mere liye..!!

Ek din hamaari mulakat na hui,
Galti thi meri?? Jo baat na hui??
Rooth gai wo, aur pareshaan bhi hui,
Baat na ki thik se aur anjan ban gai.!!
Dil ka ek kona khali aur halka sa laga,
Aankho me aansoo aur mai tanha sa laga,
Do din wo roothi rahi par wo do din saal sa laga,
Kaise samjhanoo use uski kimat??
Dil me basi hai uski dosti ki dor ban kar ek murat.!!
 Par rab ko bhi meri tanhai kabool na thi,
Dosti hamari kache dor si hai, par isme koi jod nahi thi,
Milaya wapas us rab ne hi mujhe us pari se,
Aankho me uske bhi kuchh anjane gam the chhupe se,
Aankh bhar aayi jab samne wo aayi,
Kamjor pal meri zindagi ka tha, jab wo aansoo banker aankhon me utar aayi.!!

Vada kiya hai usne sath nibhane ka,
Akela mujhe ya tanha na chhod jane ka,
Purani baate bhula kar, dosti nibhane ka,
Andho ki tarh hai yakin uski baato ka,
Wo nibhayegi sath aur vada apna..!!
Mujhse koi galti na ho rehmat barsaye khuda mera,
Dosti me judai ya kamjor na banaye khuda mera,
Uski aankho me base sapno ko sakar banay khuda mera,
Baate to baaki hai par sabd nahi hai,
Milenge dubara kuchh hasin lamho aur yaado ke sath,
Shukariya us rab ka aur is pari ka jo hai ab mere sath..!!

Penulis : Kaushal ~ Sebuah blog yang menyediakan berbagai macam informasi

Artikel "Pari - Meri dost" ini dipublish oleh Kaushal pada hari Sunday, 18 December 2011. Semoga artikel ini dapat bermanfaat.Terimakasih atas kunjungan Anda silahkan tinggalkan komentar.sudah ada 0 komentar: di postingan "Pari - Meri dost"
 

0 comments:

Post a Comment